DjPunjab Official

Advertisment

Halka Halka Rahat Fateh Ali Khan Lyrics

Ye jo halka halka suroor hai Tere ishq ka hi fitoor hai Maine jo likha tha mita diya Aur tujhko apna khuda kiya Ye jo halka halka saroor hai Tune kuch kiya toh zaroor hai Jis din se tu hai dikha kiya Maine saans lena bhula diya Jisme se rooh ka ik safar ho tum Aakhri saans mein ik umar ho tum Duniya ki bheed mein Mujhko bas tu dikhe Kya main tumko dikhun kaho na tum Yeh jo halka halka suroor hai Kuch ishq sa toh zaroor hai Maine jagna sona bhula diya Mujhe kya se kya hai bana diya Tu mere khoon mein beh raha hai kahi Tu mere khwab mein jag raha hai kahi Meri har baat mein bas tera zikr hai Kuch mere baare mein kaho na tum Yeh jo halka halka suroor hai Tere ishq ka hi fitoor hai Lyrics at www.lyricsted.com Maine jo likha tha mita diya Aur tujhko apna khuda kiya Kisine na kiya hai jaisa ishq tera mera Main daudta aata hoon koi naam le jo tera Kisine na kiya hai jaisa ishq tera mera Mere ghamon ki raat ka tu ujla savera (x2) Rehne do na nashe mein Tum phero na nazar Halka sa hi aaya hai Abhi chaahat ka asar (Kisine na kiya hai jaisa ishq tera mera Main daudta aata hoon koi naam le jo tera Kisine na kiya hai jaisa ishq tera mera Mere ghamon ki raat ka tu ujla savera) Ye jo halka halka suroor hai Tune kuch kiya toh zaroor hai Ye jo halka halka suroor hai

Easy To Copy

ยป Back To Track Download


» Home

For any info - admin@djpunjab.is

djpunjab.is (2024)